Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye
Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye
Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan
Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan
Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan E Jahan
Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye
Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam
Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam
Mujh Ko Aaqa Dikhaatey Ho Apna Haram
Aap Ki Deed Ko Chashm E Tar Chaahiye
Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb
Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb
Marz E ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb
Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye
Ya Nabi Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar
Baar E ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar
Koi Husn E ‘Amal To Nahin Hai Magar
Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad E Safar Chaahiye
Bheek ‘Ilm O ‘Amal Ki ‘Ataa Keejiye
Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye
Jaam E ‘Ulfat Mujhey Ab Pilaa Deejiye
Waqt E Aakhir Mujhey Wo Nazar Chaahiye
Sharf E Khidmat ‘Ataa Ho Gulaamon Ko Ab
Jitney ‘Ushaaq Hain Sab Rahey Baa Adab
Khuld Maskan Baney Aur Raazi Ho Rab
Har Du’a Mey Meyri Wo Asar Chaahiye
Jo Mujaahid Philisteen Mey Hain Shahaa
Aas Tum Par Laga Kar Hee Paayain Jilaa
Khaak Mey Zaalimon Ki Miley Ab Jafaa
‘Aashiqon Key Liye Ab Zafar Chaahiye
Mujh Ko Aaqa Madiney Bulatey Rahey
Shakir E Bey Nawaa Ko Nibhatey Rahey
Apna Mehmaan Hameysha Banaatey Rahey
Aakhree Waqt Mujh Ko Yeh Dar Chaahiye
Dard E Dil Chahiye Chashm E Tar Chahiye
Related Content
- La Mau-Jooda Illallah La Mash-huda Illallah Naat Lyrics
- Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain Naat Lyrics
- Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
- Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya
- Nabiyo Ke Sardar Aae Naat Lyrics
- Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga Naat Lyrics
- Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
- Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
- Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain Naat Lyrics
- Hota agar zameen par saya Rasool ka
- Ae Rasool e Ameen khatamal morsalin,
- Soona jungle raat andheri chaye hai
- Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
- Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Naat Lyrics
- Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum Naat Lyrics
- REHAM KARO YA SHAH-E-DO AALAM
- Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
- Tera Rishta Bana Shiraaz Se Jameeyate Khaatir (Naat Lyrics)
- Nabi ki naat ki Mehfil Sajjaana ham Na chaurein Ge
- Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya Naat Lyrics