A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba
SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Ho Mubarak Ahl-E-Imaan Hogayei Qismat Darakhshaan
Chaar Jaanib Dhoom Hai Sarkar Ki Milaad Ki
Jhoomta Hai Har Musalmaan Eid-E-Milaad Un Nabi
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah

Ghunchay Chutkay Phool Mehke Har Taraf Aayei Bahaar
Hogayei Subh-E-Baharaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Hum Na Kyun Roshan Karein Ghar Ghar Diye Milaad Ke
Khud Karay Jab Haq Charaghaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Eid-E-Milaad-Un-Nabi Tou Eid Ki Bhi Eid Hai
Bil Yaqeen Hai Eid-E-Eidaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Eid-E-Milaad-Un-Nabi Pe Jou Bhi Karta Hai Khushi
Uss Pe Ghurraata Hai Shaytaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Amina Ke Ghar Mohammad Ki Wiladat Hogayei
Khoob Jhoomo Ahl-E-Emaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Aao Deewano Chalo Sab Aamina Ke Ghar Chalein
Noor Se Bhar Laayein Damaan Eid-E-Milad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Khoob Jhoomo Ae Gunaahgaron Tumhari Eid Hai
Hogaya Bakhshish Ka Samaan Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Gham Ke Maaron Bay-Saharo Buss Tumhari Eid Hai
Hogaya Rahat Ka Samaan Eid-E-Milad-Un-Nabi
Marhaba Ya Mustafa Sud Marhaba Allah Allah Ya Allah Allah Allah
A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
Ho Mubarak Ho Mubarak Eid-E-Milaad-Un-Nabi

Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba
SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba SalAllah Marhaba
Ya Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم



Related Content

  1. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Naat
  2. Hum Apni Hasrat E Dil Ko Mitane Aaye Hai  Naat Lyrics
  3. Aale nabi khune khaatune jannat Gulzar e Millat….
  4. Bigare Huwe Bante Hain Kam Madine Me  Naat Lyrics
  5. Sarwar Kahoo Ke Maliko Maula Kahu Tujhe  Naat Lyrics
  6. Do jag de wich hoye ujaale,
  7. He Kalaame Ilahi Me Shamsudduha  Naat Lyrics
  8. Bas Apne Dil Maen Madine ki
  9. Aye Madine ke Tajdar Tujhe
  10. Al Nabi Sallu Alai
  11. Ya Habib e Ahmed Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
  12. Kitna Ala Rutba Hai Mere Ghouse Azam Ka  Naat Lyrics
  13. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  14. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  15. Unka Mangta Hu Jo Mangta Nahi Hone Dete Naat Lyrics
  16. Jo Madina Hum Bhi Jaate (Naat Lyrics)
  17. Bhejo Darood Us Zaat Per,mikar sada kaho
  18. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  19. Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka  Naat Lyrics
  20. Aey Ishq E Nabi Mere Dil Main Bhi Samaa Jaana (Naat Lyrics)

Leave a comment