Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
Hasrata wa hasrata ab chal diya ramzan hai
Ashiqan-e-mah-e-ramzan ro rahen hain phoot kar
Dil bada bechain hai afsurda rooh-o-jaan hain
Alfiraq-o-walfiraq aye rab ke mehman alfiraq
Alfiraq-o-walfiraq aye mah-e-ramzan alfiraq
Alwada-o-walwada tujhko mah-e-ramzan hai
Teri kurkat mein dil-e-ushhaq tukde hain ho gaya
Aur seena chaak tere hijr mein ramzan hai
Dastan-e-gham sunayen kisko jakar aah ham
Ya rasoolullah (saw) dekho chal diya ramzan hai
Waqt-e-Iftar-o-seher ki ronaqen hongi kahan
Chand din ke baad ye sara saman sunsaan hai
Haay sad afsos ramzan ki na hamne qadr ki
Besabab hi bakhsh de ya rab ke tu rahman hai
Sab muslaman alwida kahten hain ro ro kar tujhe Ramzan
Aah chand ghadiyon ka ab tu rah gaya mahman hai
Hasrata wa hasrata ab chal diya ramzan hai
Chand aansu nazr hain bas aur kuchh palle nahin
Na wo roze rakhen na wo namazen padhin
Na wo tarawihyan padhi jo tere shaan ke layaq ho
Chand aansu nazr hain bas aur kuchh palle nahin
Nekiyon se aah ye khali mera daman hai
Kash aate saal ho attar ko ramzan naseeb
Kash aate saal ho ham sab ko bhi ramzan naseeb
Ya nabi meethe madine mein bada armaan hai
Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
Related Content
- Rehbar O Taaj E Shariat Hai Aaaj Bhia Naat Lyrics
- Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
- Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz E Hijabana Naat Lyrics
- Arsh Ka Dulha Aaya Hai
- Madani Madine Waale (Naat Lyrics)
- Jis Nay Madinay Jana Kar Lo Tayarian Naat Lyrics
- Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan Naat Lyrics
- YA TAIBA YA TAIBA
- Un Ki Nazar Mein
- Dekhte Kya Ho Ahle Safa
- Aye Hasnain Ke Nana
- Balaghal Ula Bi Kamalihi
- Ae Maut Thehr Ja, Main Madine Tay Ja Lawan
- MADINE WAALE MERI LAAJPAL
- Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani
- ALLAH Ho Rabo Muhammadin
- Kya Bayaan Azmatein Hon Teri Shaha
- Nabi Nabi Nabi Nabi Naat Lyrics
- Aa Gaye Sarkar Naat Lyrics
- Uchiyan Uchiyan Shaana