Aaj Muhammad aye moray ghar

Aaj Muhammad aye moray ghar
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Ankhon mein maazagh ka surma
Sar par taaj Warafa’na ka
Husn-e-mujassam Allahu akbar

Subh-e-azzal hai Mukhra un ka
Shaam-e-awad hai Zulf ka saya
Unse hua har qalb munawwar

Mehndi lagaon ghar ko sajaon
Main angan mein naachon gaaon
Tann mann waaron Unke Charan par

Aao sakhio mill kar gayein
Apne Piya ka jashn manayein
Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Rim jhim barse noor ki barkha
Aaya hai mi’raj ka Dulha
Dharti aur aakaash se behtar

Dosh pe youn Gesu lehraye
Bheeni bheeni khusboo aye
Rang-o-nighat saara manzar

Amina Bi ka Raaj Dulara
Kitna anokha kitna pyaara
Chaand uttar aaya hai zameen par

Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha
Pohnche jab aflaak pe Aaqa
Naghma tha har eik ki zuban par

Tall jaayegi saari musibat
Aa jaye ga dor-e-rahat
Ab to mujhe dekheinge nazar bhar

Anjum bekass Aap ka mangta
Dijiye bakshish jagg ke Data
Boond hoon main aur Aap samandar

Aaj Muhammad aye moray ghar


Related Content

  1. Ali Haidar ka gharana
  2. Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain   Naat Lyrics
  3. Qadri Aastana Salamat Rahe  Naat Lyrics
  4. Jashn Aamade Rasool
  5. Woh Rasool Mera Rasool Hai (Naat Lyrics)
  6. Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum  Naat Lyrics
  7. Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics
  8. Choote Na Kabhi Tera Daman ya khwaja moinuddin hassan
  9. A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
  10. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)
  11. Noor ke motiyon ki larri ban gai
  12. Qurban Tumpe Meri Jaan
  13. Koi Aaye Koi Jaaye  Naat Lyrics
  14. Na Kahin Se Door Hein Manzilen  Naat Lyrics
  15. Nabi Ka Aastan Ho Or Mera Sar Ho To Kia Kehna  Naat Lyrics
  16. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  17. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics
  18. Dare Nabi Par Para Rahoon Ga Naat Lyrics
  19. Meri Tauba Meri Tauba  Naat Lyrics
  20. Kaabay Ki Ronaq Kaabay Ka Manzar

Leave a comment