Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics

ILAHI MADAD KAR MADAD

KI GHARI NAAT LYRICS

ILAHI MADAD KAR MADAD KI GHARI NAAT LYRICS
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.


Related Content

  1. Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
  2. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  3. Nahi He Koi Duniya Main Hamara  Naat Lyrics
  4. Muhammad Ke Shaher Mein   Naat Lyrics
  5. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  6. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics
  7. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat Lyrics
  8. Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo (Naat Lyrics)
  9. Ya Habib e Ahmed Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
  10. Tu Kareen hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane (Naat Lyrics)
  11. Jab Say Howa Hey Unka Karam
  12. Meh Madine Chala (Naat Lyrics)
  13. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
  14. Mil Gaya Dar Tera Garib Nawaz  Naat Lyrics
  15. Kabe Pe Pari Jab Pehli Nazar  Naat Lyrics
  16. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  17. Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
  18. Kaabay Peh Pari Jab Pehli Nazar
  19. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye He
  20. Apni Lagan Laga De

Leave a comment