Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
Madiney Mey Bulaatey Ho Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Tasawwur Mey Takhayyul Mey Madiney Aatey Jaatey They
Bulaaya Ab Madiney Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Gira Hoon Baarey Isyaan Sey Agisnee Ya Rasool Allah
Girey Ko Tum Uthaatey Ho Uthaatey Yunhi Rehna Tum
Gham-E-Ishq-E-Muhammad Mey Rahey Aankhain Hameysha Nam
Pilaatey Jaam E ‘Ulfat Ho Pilaatey Yunhi Rehna Tum
Nazar Key Saamney Haazir Hain Aaqa Aap Ka Mujrim
Mitaao Is Key Jurmo Ko Mitaatey Yunhi Rehna Tum
Mili Iftaar Ki ‘Izzat Mujhey Phir Maah E Ramzan Mey
Khilaya Mujh Ko Qadmon Mey Khilatey Yunhi Rehna Tum
Miley Shab Qadr Ki Ne’mat Shahaa Hamza Key Sadqey Mey
Lutaatey Unka Sadqa Ho Lutaatey Yunhi Rehna Tum
Chala Hoon Phir Madiney Sey Liye Arman Yeh Dil Mey
Bulaana Jald Taibah Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Muradain Sab Ney Paayee Hain Isi Sarkaar Mey Aakar
Hansaya Tumney Roton Ko Hansatey Yunhi Rehna Tum
Karam Sey Aap Key Jaaga Pisar Ka Bakhtey Khufta Yun
Dikhaaya Usko Taibah Bhi Dikhaatey Yunhi Rehna Tum
Yeh Maana Mujrimo ‘Aasee Tumhaara Shakir E Noorie
Nibhaatey Isko Rehtey Ho Nibhaatey Yunhi Rehna Tum
Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
Related Content
- Jashan-e-Amad-e-Rasool ALlah hi Allah (Naat Lyrics)
- aaka ko pukar bande aaka pukar
- Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara Naat Lyrics
- Muh Se Ek Baar Laga Laytey Jo Maula Pani Naat Lyrics
- As Sub Hu Bada Min Talati Hii Naat Lyrics
- Mai Toh Miladi Hu Naat Lyrics
- Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
- Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma Naat Lyrics
- Sare Jahan Se Achha Hai Sange Dar Tumhara Naat Lyrics
- Ya Nabi Ya Rasool
- Aane Walon Yeh To Batao Lyrics
- An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
- Kyunkar Na Merey Dil Main Hu Ulfat Rasool Ki
- Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
- Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
- Chamak Tujh Say Paatay Hain
- Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
- Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
- Har Waqt Tasawur Main Madine Ki Gali
- Aao ahle shariat pardhaye tumhe