Tere Qadmo Me Aana, Mera Kaam Tha (Naat Lyrics)

Tere Qadmo me aana, mera kaam tha
Meri Kismat jagaana, Tera kaam he

Meri aankho ko he, deed ki arazoo
Rukh se Parda uthaana, Tera kaam he

Teri choukat kahan aur kaha ye jabeen
Tere faiz-e karam ki to hud hi nahi

Jin ko duniya me koyi na apna kahe
unko apna banana Tera kaam he

Baaraa bat�ta he Sultaane Kaunain ka
Sadqa Moula Ali Sadqa Hasnain ka
Sadqa Khwaja Piya Ghous Saqalain ka
Sadqa Sultan Bahu Peer Kaamil ka
Haaziri hogayi ye bhi in�aam he

Mere dil me teri yaad ka raaj he
Zahne Tere Tassawur ka muhtaaj he
Har ek nigahe karam me meri laaj he
Laaj meri nibhaana Tera kaam he

Pesh har aarazoo har tamana karoo
Thaam loo Jaaliya iltija ye karo
Mangne waalo daaman kushaada karo
Noor waale ka Faiz-e-karam aam he


Related Content

  1. Har Waqt Tasawur Main Madine Ki Gali
  2. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  3. Jashn Aamade Rasool
  4. Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa  Naat Lyrics
  5. Main Lab Kusha Nahi Hoon Aur Mehre Ilteja Hu  Naat Lyrics
  6. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon
  7. Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Maila Nahi Hota Lyrics
  8. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  9. Dekhte Kya Ho Ahle Safa
  10. Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun
  11. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  12. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  13. MANGHTE HE KARAM UNKA SADAA MANGHRAHE HE
  14. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics
  15. Abr E Karam Gesoo E Muhammad
  16. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  17. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  18. Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
  19. MILTI HE MUHAMMAD KI KHAIRAAT MADINE ME
  20. Hum Ko Bulana Ya Rasulallah

Leave a comment