Sab Se Aola Woh Aala Hamara Nabi (Naat Lyrics)

Sab se aola wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi

Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi

Khalq se Awliya Awliya se Rusul
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi

Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he
Be kason ka sahara hamara Nabi


Related Content

  1. Amina Ka Laal Aaya Lyrics
  2. Mujhe Rang De Maula
  3. Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani
  4. Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics
  5. Furqate Taiba Kee Wehshat Dil Se Jaaye Khair Se  Naat Lyrics
  6. Piraane Pir, Meri Bigri Banaao  Naat Lyrics
  7. MEHBOOB DA MELA AE
  8. Man Kunto Maulaa  Naat Lyrics
  9. Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma  Naat Lyrics
  10. Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
  11. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  12. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  13. Na Kahin Se Door Hein Manzilen  Naat Lyrics
  14. Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
  15. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  16. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  17. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  18. Tere Qadmo Me Aana, Mera Kaam Tha (Naat Lyrics)
  19. Aey Ishq E Nabi Mere Dil Main Bhi Samaa Jaana (Naat Lyrics)
  20. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics

Leave a comment