Aaqa Ka Milad Aaya

Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah
 
Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah

Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya

Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya

Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya

Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya

Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya

Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya

Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya

Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya


Related Content

  1. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  2. TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
  3. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics
  4. Qaseeda E Mearaj  Naat Lyrics
  5. Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
  6. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics
  7. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  8. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  9. Rab Mehfilan Sajayan
  10. Mil Gaya Dar Tera Garib Nawaz  Naat Lyrics
  11. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics
  12. Tu Shamm-e- Risalat Hai
  13. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  14. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  15. Amina Ka Laal Aaya Lyrics
  16. Sar Ta Ba-qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool  Naat Lyrics
  17. Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics
  18. Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
  19. Mujdawa Hai Asiyo Shaf-e-Shah-e-Abrar Hai (Naat Lyrics)
  20. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein

Leave a comment