Dil Madina Mera Bana Aaqa

Dil madina mera bana Aaqa ,

Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa

Ab huzoori ho, dur doori ho,

Phir madine mujhe bula Aaqa

Maut ke baad, bhi suroor aee,

Aisi ulfat ki mai pila Aaqa

Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,

Koi zara Tu  kar ataa Aaqa

Kash roe Khashiyat-e-Rab se,

Behr-e-Farooq  dil mera Aaka

Behr-e-Usman  ba hea mujh ko,

Dijiye dolat-e-hea Aqa

Behr-e-Mola Ali mujhe ghalba,

Dushmano per tu kar ataa Aaka

Az pee Fatima mujhe apne,

Ishq mein har ghari rula Aaka

Behr-e-Hasnain de panah mujh ko,

Paikar-e-sabr or riza Aaqa

Mujh ko sadqe mein Bu-Hanifa  ke,

Aalim-e-baa amal bana Aaqa

Waasta tujh ko Ghous-e-Azam  ka,

Naik seerat mujhe bana Aaqa

Waasta tujh ko Alahazrat ka,

Tu mujhe muttaqi bana Aaqa

Mere ahlo-eaal ore mujh se,

Door ho jee har bala Aaqa

Muskura kar Ubaid se keh do,

Tu mera banda mein tera Aaqa


Related Content

  1. Dardo Aalam Ke Mare
  2. Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics
  3. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  4. Sadkhe Me Mustafa Ke Madine Ko Jayeinge  Naat Lyrics
  5. Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
  6. Abhi jibril utre
  7. Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics
  8. Aaqa Meriyan akhiyan madine wich reh gayan lyrics
  9. Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
  10. Arsh e aazam kyu na phade fhir khutba fazley rahma ka
  11. HAR DESH MAIN GUNJEGA
  12. Aaqa Ka Milad Aaya
  13. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  14. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  15. Meeran Waliyon Ke Imam De Do Panjtan Ke Naam (Manqabat)  Naat Lyrics
  16. Hota agar zameen par saya Rasool ka
  17. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  18. Apni Lagan Laga De
  19. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  20. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics

Leave a comment