Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
Madiney Mey Bulaatey Ho Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Tasawwur Mey Takhayyul Mey Madiney Aatey Jaatey They
Bulaaya Ab Madiney Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Gira Hoon Baarey Isyaan Sey Agisnee Ya Rasool Allah
Girey Ko Tum Uthaatey Ho Uthaatey Yunhi Rehna Tum
Gham-E-Ishq-E-Muhammad Mey Rahey Aankhain Hameysha Nam
Pilaatey Jaam E ‘Ulfat Ho Pilaatey Yunhi Rehna Tum
Nazar Key Saamney Haazir Hain Aaqa Aap Ka Mujrim
Mitaao Is Key Jurmo Ko Mitaatey Yunhi Rehna Tum
Mili Iftaar Ki ‘Izzat Mujhey Phir Maah E Ramzan Mey
Khilaya Mujh Ko Qadmon Mey Khilatey Yunhi Rehna Tum
Miley Shab Qadr Ki Ne’mat Shahaa Hamza Key Sadqey Mey
Lutaatey Unka Sadqa Ho Lutaatey Yunhi Rehna Tum
Chala Hoon Phir Madiney Sey Liye Arman Yeh Dil Mey
Bulaana Jald Taibah Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum
Muradain Sab Ney Paayee Hain Isi Sarkaar Mey Aakar
Hansaya Tumney Roton Ko Hansatey Yunhi Rehna Tum
Karam Sey Aap Key Jaaga Pisar Ka Bakhtey Khufta Yun
Dikhaaya Usko Taibah Bhi Dikhaatey Yunhi Rehna Tum
Yeh Maana Mujrimo ‘Aasee Tumhaara Shakir E Noorie
Nibhaatey Isko Rehtey Ho Nibhaatey Yunhi Rehna Tum
Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
Related Content
- Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
- Aankhon Mein Bas Geya Hai Madina Huzoor Ka Naat Lyrics
- Balaghal Ula Bi Kamalihi
- Ya Habib e Ahmed Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
- Kya Bayaan Azmatein Hon Teri Shaha
- Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega Naat Lyrics
- AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA
- Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
- CHAL QALAM AB HAMD E RABB
- Main Lab Kusha Nahi Hoon Aur Mehre Ilteja Hu Naat Lyrics
- Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa Naat Lyrics
- Rehmat Baras Rehi Hai
- Ser-E-Gulshan Kon Dekhe Dasht-E-Taiba Chor Kar Naat Lyrics
- sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
- Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara Naat Lyrics
- Mera Dil Or Meri Jaan Naat Lyrics
- Baat Kar Madine Ki Naat Lyrics
- Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
- Ki Ki Na Kita Yaar Ney Eik Yaar Waste Naat Lyrics
- Tere Ishq Di Dolat