Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah
Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah
Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya
Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya
Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya
Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya
Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Aaqa Ka Milad Aaya
Related Content
- TAN SADQE MERA MANN SADQE
- Karbala K Jan Nisaro Ko Salam Naat Lyrics
- Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar Naat Lyrics
- Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
- Man Kunto Maulaa Naat Lyrics
- Mein Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics
- Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Naat Lyrics
- Khuda Ne Mujhko Diya Maa Teri Duaaon Se Naat Lyrics
- Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
- An Nabi Sallo Alaih Naat Lyrics
- Nahi He Koi Duniya Main Hamara Naat Lyrics
- Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai Naat Lyrics
- Ya Nabi Ya Rasool
- Qurban Tumpe Meri Jaan
- Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
- AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI
- Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
- Nabi ki naat ki Mehfil Sajjaana ham Na chaurein Ge
- Ali Haidar ka gharana
- Meri Tauba Meri Tauba Naat Lyrics