Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics

Ab bula lijiye na Madina
Aa raha hai ye hajj ka Mahina
Dil Mera toot jaae kahin na
Al-Madad Taajdare Madina

Mujhko Aaqa Madine bulalo
Hasratein Dil ki saari nikalo
Ghaus-e-Aazam ka sadqa nibhalo
Ab to kehdo Mujhe chal Madina

Aansuon ki ladi ban gayi ho
Aur aanhon se phat’ta ho sina
Wirde lab ho Madina Madina
Jab chale Soo-e-Tayba Safina

Aansuon ki jhadi lag gayi hai
Yaad Aaqa ki tadpa rahi hai
Ispe deewanagi chha gayi hai
Yaad aaya hai isko Madina

Dil se ulfat jahan ki nikalo
Is tabahi se Maula bacha lo
Mujhko deewana Apna banalo
Mera seena bana do Madina

Jab Madine mein ho apni aamad
Jab mein dekhun Tera Sabz gumbad
Hichkiyan bandh kar ro-uun behad
Kaash aa jaye aesa Karina

Hai Tamanna-e-Attar Ya Rabb
Unke jalwon mein yun Maut aaye
Jhum kar jab gire Mera lasha
Tham lein badh ke shahe Madina


Related Content

  1. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  2. Mein Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics
  3. Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
  4. Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
  5. Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko Itni Meri Awqaat Nahi
  6. Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki
  7. REHAM KARO YA SHAH-E-DO AALAM
  8. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  9. Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani
  10. Shukr E Khuda Ki Aaj Ghari Us Safar Ki Hai  Naat Lyrics
  11. BARI UMEED HAI SARKAR QADMON
  12. Nabi Nabi Nabi Nabi  Naat Lyrics
  13. As Sub Hu Bada Min Talati Hii   Naat Lyrics
  14. Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics
  15. MERE BAGHDAADI GHAUSUL ANAAM NAAT LYRICS
  16. Allah Nabi Da Naam Layye Allah Nabi Da
  17. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  18. Allaha Ha Ghar Kulde Ka Naqsha Nahie Dekha (Naat Lyrics)
  19. parho woh matlaye noori sanaye mahre Anwar ka Lyrics
  20. Ban Ja Toon Vi Yaar Madine Wale Da Lyrics

Leave a comment