Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya
Yusuf Ko Tera Taalib E Deedar Banaya
Kaunain Banaaye Gaye Sarkaar Ki Khaatir
Kaunain Ki Khaatir Tumhein Sarkaar Banaya
Kunji Tumhein Di Apne Khazaanon Ki Khuda Ne
Mehboob Kiya Maalik O Mukhtaar Banaya
Allah Ki Rehmat Hai Ke Aise Ki Ye Qismat
Aasi Ka Tumhein Haami O Ghumkhwaar Banaya
Aalam Ke Salaateen Bhikaari Hain Bhikaari
Sarkaar Banaya Tumhein Sarkaar Banaya
Lillah Karam Mere Bhi Veerana E Dil Par
Sehra Ko Tere Husn Ne Gulzaar Banaya
Allah Ta’ala Bhi Huwa Uss Ka Tarafdaar
Sarkaar Tumhein Jis Ka Tarafdaar Banaya
Gulzaar E Jinaan Tere Liye Haq Ne Banaye
Apne Liye Tera Gul E Rukhsaar Banaya
Be Yaaro Madadgaar Jinhein Koi Na Pooche
Aison Ka Tujhe Yaaro Madadgaar Banaya
Har Baat Bad A’amaliyon Se Maine Bigaadi
Aur Tum Ne Meri Bigdi Ko Har Baar Banaya
Unn Ke Lab E Rangeen Ki Nichhaawar Thi Wo Jis Ne
Patthar Mein Hasan La’al E Pur Anwaar Banaya
Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya
Related Content
- Bigri Bana-O Makki Madani, Bigri Bana-O Makki Madani
- Koyi Kya Jane Jo Tum Ho Khuda Hi Jaane Kya Tum Ho Naat Lyrics
- Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai Naat Lyrics
- Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu
- Rok Leti Hai Aapki Nisbat Naat Lyrics
- Dardo Aalam Ke Mare
- Bahar e Jaan Fiza Tum Ho
- Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya
- AAJ ASHK MERI NAAT SONAA?E TO AJAB KYA
- Ni Mitiyye Madeene Diye
- Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi Hai Naat Lyrics
- Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
- Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
- Mehboob Ki Mehfil Ko Mehboob Sajate Hai Naat Lyrics
- Aaj Muhammad Aye Moray Ghar Naat
- Mujhe bhi MADINAY bulaa Mayray Mowla
- Sacchi Baat Sikhate Yeh Hai Naat Lyrics
- Do jag de wich hoye ujaale,
- Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)
- Baat Kar Madine Ki Naat Lyrics