Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics

Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics

Taaray Chamak Rahay Hain Issi Noor Ke Tufail

Gulshan Haray Bharay Hain Issi Noor Ke Tufail
Dono Jahan Sajay Hain Issi Noor Ke TufailIss Noor Ka Azal Se Abad Tak Hai Silsila
Ye Noor Who Hai Jiss Ka Taraf Daar Hai KhudaAaya Hai Rah-e-Raast Dikhanay Ke Waastay
Bando Ko Unke Rab Se Milanay Ke Waastay

Bunyaad But Kadoon Ki Giraanay Ke Waastay
Rasm-O-Riwaaj Kufr Mitaanay Ke Waastay

Insaan Ko Bandagi Ka Saleeqa Sikhaye Ga
Ye Noor Zulmatoon Ko Ujaalay Banaye Ga

Guftaar Lajawaab Hai Kirdaar Bay Nazeer
Haami Sitam Zadoon Ka Yateemon Ka Dastageer

Halqa Bagosh Iske Hain Kya Shah Kya Faqeer
Insaan Reh Sakay Ga Na Insaan Ka Aseer

Bhooka Rahe Ga Khud Who Jahan Ko Khilaye Ga
Woh Apnay Dushmano Ko Galay Se Lagaye Ga

Peghaam-e-Haq Ye Saaray Jahan Ko Sunaye Ga
Keena Zadoon Ko Rushk-e-Gulistan Banaye Ga

Har Gaam Rehmaton Ke Khazanay Lutaye Ga
Insaan Ko Ye Dars-e-Akhuwat Sikhayega

Dega Kuch Iss Adaa Se Peghaam-e-Dosti
Zehno Se Door Kardega Sadiyon Ki Dushmani

Yeh Sahib-e-Jamal Hai Ye Sahib-e-Kamal
Khush Dil Hai Khush Pasand Khush Khulq Khush Khisaal

Khalaaq-e-Dou Jahan Ki Hai Takhleeq-e-Bay Misaal
Mumkin Nahin Hai Isko Kissi Dor Mein Zawaal

Roshn Karega Rushdo Hidayat Ke Woh Diye
Bun Jayeingay Sabaq Jou Har Dor Ke Liye

Beshak Yehi Hai Bayiss-e-Takhleeq-e-Kainaat
Chamkay Ga Iske Husn Se Har Gosha-e-Hayaat

Rasikh Hai Iska Qol Tou Sachi Hai Har Ik Baat
Dil Mein Hai Iske Rehem Nazar Mein Iltifaat

Iske Karam Ki Hadh Hai Na Koi Hisaab Hai
Jiss Par Nigaah Daal De Woh Aftaab Hai

Aaya Hai Muflison Ki Himayat Liye Huay
Mazloom-O-Bekasoon Ki Mohabbat Liye Huay

Ahl-e-Gunaah Ke Haq Mein Shifa’at Liye Huay
Saaray Jahan Ke Liye Rehmat Liye Huay

Hoga Iski Zaat Par Qur’an Ka Nuzool
Woh Aakhri Kitaab Hai Ye Aakhri Rasool

Arz-O-Sama Banay Hain Issi Noor Ke Tufail
Taaray Chamak Rahay Hain Issi Noor Ke Tufail

Gulshan Haray Bharay Hain Issi Noor Ke Tufail
Dono Jahan Sajay Hain Issi Noor Ke Tufail

Iss Noor Ka Azal Se Abad Tak Hai Silsila
Ye Noor Who Hai Jiss Ka Taraf Daar Hai Khuda

Aaya Hai Rah-e-Raast Dikhanay Ke Waastay

Related Content

  1. JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH
  2. Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics
  3. Tera Khaawan Main Tere Geet Gaawan, Ya Rasoolallah (Naat Lyrics)
  4. Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar  Naat Lyrics
  5. Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai  Naat Lyrics
  6. Aaj Muhammad aye moray ghar
  7. Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho  Naat Lyrics
  8. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri
  9. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  10. Baarwein Ka Chaand Aaya Naat Lyrics
  11. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain    Naat Lyrics
  12. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  13. Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh (Naat Lyrics)
  14. Allaha Ha Ghar Kulde Ka Naqsha Nahie Dekha (Naat Lyrics)
  15. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  16. Tere Ishq Di Dolat
  17. aaka ko pukar bande aaka pukar
  18. Baqi Sabey Galan Chutiyan Ney Sariyan Lyrics
  19. Muflis E Zindagi Ab Na Samjhe Koi   Naat Lyrics
  20. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics

Leave a comment