Habib E Khuda Ka Nazaara Karoon Main (Naat Lyrics)

Habib-e-Khuda ka nazaara karoon main
Dil-o-jaan un par nisaara karoon main

Teri kakshe pa yu savaara karoon main
Ke palko se usko buhaara karoon main

Mera din-o-iman farishte jo puche
Tumhari hi janib ishaara karoon main

Yeh ek jaan kiya hai agar ho karoron
Tere naam par sab ko wara karoon main

Tere naam par sar ko qurbaan karke
Tere sar se sadqe utaara karoon main

Main kiyu ghair ki thokre khane jao
Tere dar se apna guzaara karoon main

Dam-e-wapsi tak tere geet gau
Mohammed(S.A.W.W) Mohammed(S.A.W.W)
Mohammed(S.A.W.W) Mohammed(S.A.W.W)

Mohammed(S.A.W.W) Pukara karoon main

Tera zikr lab par Khuda dil ke andar
Yuhi zindagani guzaara karoon main

Khuda khair se laye wo din bhi Noori
Madine ki galiya bulaara karoon main


Related Content

  1. Ser-E-Gulshan Kon Dekhe Dasht-E-Taiba Chor Kar  Naat Lyrics
  2. Allah Allah Allahu,Allah Allah Allahu
  3. Hota agar zameen par saya Rasool ka
  4. Sweet Madina Sweet Madina  Naat Lyrics
  5. Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa
  6. Sab Se Aola Woh Aala Hamara Nabi (Naat Lyrics)
  7. OWAISION MEIN BAITH JA BILALIYON MEIN BAITH JA
  8. Mera Dil Madina Bana De Ya Rasoolallah  Naat Lyrics
  9. Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi
  10. Tere Ishq Di Dolat
  11. aaka ko pukar bande aaka pukar
  12. Aaj Dulha Bana Shahe Ahmad Raza
  13. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  14. Aawaz panch waqt lagati hai momino
  15. Faraz E Arsh Ne Chuma Hussain Ka Sajda  Naat Lyrics
  16. Ae Saba Mustafa Se Kah Dena Gam Ke Mare Salam Kahte Hain Naat Lyrics
  17. Aao ahle shariat pardhaye tumhe
  18. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  19. Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai  
  20. Mein Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics

Leave a comment