Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics

Kabe ki ronak Kabe ka manzar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekhu to dekhe jau barabar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Hainrat se khud ko kabhi dekhta hu

Aur dekhta hu kabhi mai haram ko

Laya kahan mujhko mera muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Hamd e Khuda se tar hain zabane

Kano me rass ghoolti hain azane

Bus ek sada a rahi hain barabar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Mangi hain maine jitni duae

Manzoor hongi maqbool hongi

Mizab e Rehmat hain mere sar par

Allahu Akbar Allahu Akbar

Tere karam ki kya bat Maula

Tere haram ki kya bat Maula

Ta umr karde ana muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Yad agayi jab apni khataye

Ashko me dhalne lagi iltijae

Roya Gilaf e Kaba pakad kar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Dekha Safa bhi Marwa bhi dekha

Rab ke karam ka jalwa bhi dekha

Dekha rawa ek saron ka samandar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Kabe ke upar se jate nahi hain

Kisko sabak yeh sikhate nahi hain

Kitne moadab hain yeh kabutar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Bheja hain jannat se tujhko Khuda ne

Chuma hain tujh ko khud mere Mustafa ne

Aye Hajr e Aswad tera muqaddar

Allahu Akbar Allahu Akbar

Jis par nabi ke kadam ko sajaya

Apni nishani keh ke bataya

Mehfooz rakha Rab ne yeh patthar

Allahu Akbar Allahu Akbar


Related Content

  1. Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan  Naat Lyrics
  2. Ali Haidar ka gharana
  3. Kaba Lyrics
  4. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics
  5. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  6. Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
  7. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  8. Roze Ki Deewar Se Rishta Jor Liya  Naat Lyrics
  9. Al Nabi Sallu Alai
  10. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics
  11. Bahar e Jaan Fiza Tum Ho
  12. Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  13. Kaabe Ke Dar Ke Saamne (Naat Lyrics)
  14. Baat Kar Madine Ki Naat Lyrics
  15. Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz E Hijabana  Naat Lyrics
  16. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
  17. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  18. Sacchi Baat Sikhate Yeh Hai  Naat Lyrics
  19. Jab Gumbad-e-khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi   Naat Lyrics
  20. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics

Leave a comment