Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda

Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda

Chala Hoon Eik Mujrim Ki Tarha Mey Janib E Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeda Larzeda

Kise Key Hath Ney Mujh Ko Sahara Dey Diya Warna
Kahan Mey Aur Kahan Ye Rasty Pechida Pechida

Kahan Mey Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara
Nazar Us Samat Uthte Hey Magar Duzdeda Duzdeda

Ghulaman E Mohammad Dour Sey Pehchany Jaty Hein
Dil E Girweda Girweda Sare Shoreda Shoreda

Madine Jaa Key Hum Samjhy Taqadus Kis Ko Kehty Hein
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjida Sanjida

Basarat Khoo Gai Lekin Basirat To Salamat Hey
Madina Hum Ney Dekha Hey Magar Nadeda Nadeda

Wohi Iqbal Jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mezaji Par
Firaq E Taiba Mey Rehta Hey Aab Ranjida Ranjida

Madine Ka Safar Hey Aur Mey Namdeda Namdeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeda Laghzeda


Related Content

  1. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  2. Jab Masjid e Nabawi Ke Minaar Nazar Aye
  3. Rehmat Baras Rehi Hai
  4. Jis Nay Madinay Jana Kar Lo Tayarian  Naat Lyrics
  5. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  6. Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
  7. Tala Al Badru Alyna
  8. Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics
  9. Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics
  10. Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain   Naat Lyrics
  11. Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
  12. TERI JALIYON KE NEECHE
  13. Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro  Naat Lyrics
  14. Noor Wala Aya Hai  Naat Lyrics
  15. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman Naat Lyrics
  16. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics
  17. Noori Mahfil Lyrics
  18. AAKHRI LAMHON MEIN KYA SHEHR O BIYABAAN DEKHUN,
  19. Ban Ja Toon Vi Yaar Madine Wale Da Lyrics
  20. Tumhi Arsh Say Farsh Par Janay Walay (Naat Lyrics)

Leave a comment