*****************Mere Rab Kahan Pe Nahin Hai Tu***************************
Mere Rabb Kahaa(N) Pe Nahi(N) Hai Tu – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu
Tere Zarre, Zarre Mei(N) Hai Namud – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu
Teri Zaat Khaaliqe Do Jahaa(N) – Chale Hukm Tera, Yahaa(N), Wahaa(N)
Teri Har Zubaa(N) Pe Hai Guftagu – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu
Teri Qudrato(N) Ka Shumaar Kya – Teri Wusato(N) Ka Hisaab Kya
Tu Muhite Aa’Lame Rango Boo – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu
Jise Chaahe Tu Woh Aziz Hai – Jise Tu Na Chaahe Zalil Hai
Tere Haath Zillat-O-Aabru – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu
Hai Riyaz Khasta Ki Iltija – Baargaah Mei(N) Aey Khuda
Mera Chaako Amaa(N) Bhi Ho Rafu – Teri Shaan Jalla Jalaaluhu
Author: Janaab Allama Sayyad Riyazuddin Sohrawardi
Meanings:
Namud = Zaahir Hona
Wusato(N) = Wideness
Muhit = To Circumscribe, Comprehend And Know All, E.G.,Aa’Lam
Ke Saare Rango Boo Tere Qabze Mei(N) Hai.
Khasta = Thaka Hua, Pareshaan Haal
Chaako = To Cut Or Tear