Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood

Fat’he baabe nubuwwat pe bayhad durood
Khatme dauray risaalat pe lakhon salaam

Jis ke aage saraysarwara kham rahe
Us saretaaj rif’at pe lakhon salaam

Jis ke maathe shafa’at ka sehra raha
Us Jabheene sa’adat pe lakhon salaam

Jis taraf uth gaee dham may dham aagaya
Us nigaahe inayat pe lakhon salaam

Wo dahan jis ki har baat wahiye Khuda
Chashmae ilmo hikmat pe lakhon salaam

Wo zabaan jis ko sab kun ki kunjee kahen
Us ki naafaz hukumat pe lakhon salaam

Hajjre Aswad-e Ka’ba-e Jano Dhil
Ya’nee Mohre Nubuwwat pe lakhon salaam

Kul jahan milk aur jaun ki roti gizaa
Us shikan ki qana’at pe lakhon salaam

Jis suhanee garee chamka Tayba ka chaandh
Us dhil afroze sa’at pe lakhon salaam

Unke Maula ke un par karoron durood
Unke as’haab-o-‘itrat pe lakhon salaam

Kaamilaane Tariqat pe kaamil durood
Haamilaane Shariat pe lakhon salaam

Ek mera hee Rahmat pe da’wa naheen
Shah ki saari ummat pe lakhon salaam


Related Content

  1. Jab Gunmbaday Khuzra Pae Woh Pehli Nazar Gae
  2. Aanay Walo Yay To Bataao Shehr Madina Kaisa Hai (Naat Lyrics)
  3. Bigdi Bhi Banayenge  Naat Lyrics
  4. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics
  5. Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun
  6. Faslon Ko Takalluf Hai Hum Se Agar
  7. Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  8. Mein Chup Khra Huva Hun Darbar-E-Muatafa Mein  Naat Lyrics
  9. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  10. Kushiyo Ki Bahaare Laaya Ramzan Mubarak Aaya  Naat Lyrics
  11. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  12. Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo (Naat Lyrics)
  13. Meri Tauba Meri Tauba  Naat Lyrics
  14. Ser-E-Gulshan Kon Dekhe Dasht-E-Taiba Chor Kar  Naat Lyrics
  15. Bhejo Darood Us Zaat Per,mikar sada kaho
  16. Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho (Hamd)  Naat Lyrics
  17. Ae Noor-e-mujjassim
  18. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  19. Sun Lo Khuda Kay Wastay Apnay Gada Ki Arz  Naat Lyrics
  20. Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)

Leave a comment