Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics

Hajiyo Aao Shahenshah ka Roza Dekho
Kaba to dekh chuke Kabe ka Kaba dekhoRukn e Shami se miti wah’shate shame ghurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekhoAabe Zam-Zam to piyaa khub bujha-e piyase
Aao jude Shahe Kowsar ka bi darya dekhoZayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rahmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Dhum dekhi hai dare kaba pe betaabo ki
unke mushtako me hasrat ka tadapna dekhomisle parwana phiri karte the jis sham’a ke gird
apni us sham’a ko parwana yaha ka dekhoKhub ankho se lagaya he Gilaafe Kaba
Qasre Mahbub ke parde ka bhi jalwa dekho

Wan mutiyo ka jigar khauf se pani paya
yan siyahkaro ka daman pe machalna dekho

Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi
aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho

aymane tur ka tha rukne yamani me farog
shola e tur yaha anjuman-ara dekho

mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem
jin pe maa bap fida yan karam unka dekho

Arz E Haajat Me Raha Ka’aba Kafeel E Injaah
Aao Ab Dad-Rasi E Shahe Taibah Dekho

Dho chuka zulmate dil bosa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutba dekho

Kar chuki rif’ate kaba pe nazar par-vaze
topi ab tham ke khaq e dar e wala dekho

be-niyazi se waha kapti payi ta’at
joshe rehmat pe yaha naz gunah ka dekho

Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho

Multazim se to gale lag ke nikale armaan
adab o shouq ka yaha baham ulajhna dekho

Khoob mas’a me b-ummide safa daud liye
rahe janan ki safaka bhi tamasha dekho

Raqs E Bismil Ki Bahare To Mina Me Dekhi
Dil E Khu-Naba Fisha Ka Bhi Tadapna DekhoZinate Kaba me tha lakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolha dekhoGowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri ankho se mere Piyare ka Roza dekho


Related Content

  1. Ae Shahenshah e Madina Assalat o Wassalam
  2. Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Naat
  3. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  4. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  5. Aakhri roze hain dil ghamnak muztar jaan hai
  6. Baarwein Ka Chaand Aaya Naat Lyrics
  7. Muje Mere Aaka Bulate Rahenge  Naat Lyrics
  8. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  9. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  10. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
  11. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  12. Eh Sarware Duniya O Deen  Naat Lyrics
  13. Roze Ki Deewar Se Rishta Jor Liya  Naat Lyrics
  14. Apni Atta Ka Haq Ne Yeh Manzar Dikha Diya
  15. Dekhte Kya Ho Ahle Safa
  16. Pesh E Haq Muzhda Shafa-at Ka Sunate Jaenge Lyrics
  17. Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
  18. TARON MEIN ROSHNI
  19. Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par  Naat Lyrics
  20. Har Waqt Tasawur Main Madine Ki Gali

Leave a comment