Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari   Naat Lyrics

ILAHI MADAD KAR MADAD

KI GHARI NAAT LYRICS

ILAHI MADAD KAR MADAD KI GHARI NAAT LYRICS
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai

Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.

Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai

Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,

Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.


Related Content

  1. Rashke Qamar Hu Range Rukhe Aftaab Hu  Naat Lyrics
  2. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  3. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  4. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  5. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  6. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  7. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  8. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  9. MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
  10. AA GAYE MUZDA SHAFAAT KA SUNANE WALE
  11. Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya
  12. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)
  13. Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)
  14. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  15. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  16. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman Naat Lyrics
  17. Tere Ishq Di Dolat
  18. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  19. Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
  20. Abr e Karam Gesoo E Muhammad

Leave a comment