Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina


Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina


Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina


Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina


kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina


Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina


Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana


Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina


Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina


Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina


Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina


Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na
mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.

Aaya Ramzan ka mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics


Related Content

  1. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  2. Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
  3. Aadha Idhar Aadha Udhar
  4. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  5. Noorani Darbaar Madine Waale Ka
  6. Shahe Madina Taiba Bulalo Shahe Madina Naat Lyrics
  7. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  8. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki – Naat Lyrics
  9. Kaba Lyrics
  10. Eh Sarware Duniya O Deen  Naat Lyrics
  11. Aye Hasnain Ke Nana
  12. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  13. Mujhe Rang De Maula
  14. Jashan-e-Amad-e-Rasool ALlah hi Allah (Naat Lyrics)
  15. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics
  16. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  17. Muh Se Ek Baar Laga Laytey Jo Maula Pani   Naat Lyrics
  18. Ashkon ka meri aankh mein toofan utha ho
  19. Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya
  20. Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein (Naat Lyrics)

Leave a comment