Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe

Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya

Yeh kon sar se kafan lapetey chala hai ulfat ke raatey par
Farishtey hairat se tak rahe hain yeh kon zi ehteram aaya

Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh goonjhti hain
Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam aaya

Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya

Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya

Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aai
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya

Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi de saad in bisat ban kar payam darood-o-salaam aaya

Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya


Related Content

  1. Bigri Banaa-o Makki Madani (Naat Lyrics)
  2. Main Lab Kusha Nahi Hoon Aur Mehre Ilteja Hu  Naat Lyrics
  3. Shahe Madina Taiba Bulalo Shahe Madina Naat Lyrics
  4. Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai  Naat Lyrics
  5. Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
  6. Salle Ala Nabi Ye Na Sale Ala Mohammadin  Naat Lyrics
  7. Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
  8. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  9. Jashan-e-Amad-e-Rasool ALlah hi Allah (Naat Lyrics)
  10. Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hain Hamara  Naat Lyrics
  11. Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
  12. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  13. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics
  14. Manghte He Karam Unka Sadaa (Naat Lyrics)
  15. Muhammad Ke Ghulamon Ka Kafan Maila Nahi Hota Lyrics
  16. Karam Karte Hi Rehate Ho  Naat Lyrics
  17. Ae Shahenshah e Madina Assalat o Wassalam
  18. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  19. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics
  20. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics

Leave a comment