Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Rutb ye wilaayat me.n kya Gaus ne paaya hai
Allah ne waliyo.n ka sardaar banaaya hai
Hai dast-e-‘ali sar par, hasnain ka saaya hai
Mere Gaus ki Thokar ne murdo.n ko jilaaya hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Laakhon ne usi dar se taqdeer bana li hai
Bagdaadi sanwariya ki har baat niraali hai
Doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai
Ye naam adab se lo, ye naam jalaali hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao
Le kar ke labo.n par tum fariyaad chale jaao
Milna hai agar tum ko waliyo.n ke shahansha se
Khwaaja se ijaazat lo, baGdaad chale jaao

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Gaur keeje ki nigaah-e-Gaus ka kya haal hai
Hai qutub koi, wali koi, koi abdaal hai
Door hai jo Gaus se, bad-baKHt hai, bad-haal hai
Jo deewaana Gaus ka hai sab me.n be-misaal hai
Deen me.n KHush-haal hai, duniya me.n maala-maal hai

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Milne ko shama’ se ye parwaana ta.Dapta hai
Qismat ke andhero.n me.n din-raat bhaTakta hai
Is ‘ishq-e-haqeeqi me.n itna to asar aae
Jab band karu.n aankhe.n, baGdaad nazar aae

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Andaaz bayaa.n un ka ham kar nahi.n paaenge
Ajmer se ho kar ham baGdaad ko jaaenge
Jab aae bala ham par, ham un ko bulaaenge
Tum dil se sada to do, wo haath ba.Dhaaenge

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !

Ya Gaus ! karam kar do, Ya Gaus ! karam kar do
Wo deen daulat se daaman ko mere bhar do
Bas itni guzaarish hai, bas ek nazar kar do
Bagdaad ki galiyon main Chhota saa mujhe ghar do

Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !
Al-madad, peeraan-e-peer ! Gaus-ul-aa’zam dast-geer !


Related Content

  1. Mashgala Aisa Batao Ke Zara  Naat Lyrics
  2. Nabi Ka Jashn Aaya  Naat Lyrics
  3. Aankhon ka taara naame Muhammed
  4. Meh Toh Panj Than Ka Ghulaam Hun (Naat Lyrics)
  5. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  6. Kya Bayaan Azmatein Hon Teri Shaha
  7. MERI BAAT BAN GAYI HAI
  8. La ilaha illa Ho- La ilaha illa Ho Lyrics
  9. Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai   Naat Lyrics
  10. Dile Dard Mand Ki Dastan Na Kahu Ju Tum Se To Kiya Karu  Naat Lyrics
  11. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  12. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  13. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics
  14. Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai (Naat Lyrics)
  15. Aseeron Ke Mushkil Kusha Ghous e Azam
  16. aaka ko pukar bande aaka pukar
  17. Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja  Naat Lyrics
  18. Arsh e aazam kyu na phade fhir khutba fazley rahma ka
  19. Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me  Naat Lyrics
  20. Jis Nay Madinay Jana Kar Lo Tayarian  Naat Lyrics

Leave a comment