Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah (Naat Lyrics)

Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah

Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Yeh Dil Qurban Ap Per Yeh Jaan bhi Qurban Hai

Jo Hai Qurban Ap Par Woh Sahib-e-Iman Hai

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Sab se Aola O Ala Hamara Nabi

Sab se Bala O Wala Hamara Nabi

Apne Mola Ka Pyaara Hamara Nabi

Dono Alam ka Dulha Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Bhuj Gayin Jiss ke Aage Sabhi Mashalein

Shama Woh Le Ker Aaya Hamara Nabi

Jinke Talwon ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat

Hai Woh Jaan-e-Masiha Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Husn Khata hai jiss ke Namak Ki Kasam

Woh Maleehe Dilara Hamara Nabi

Zikr Sab kii Ke Jab Tak Na Mazkoor Hon

Namkeen-e-husn Wala Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Jiss ki Do Boond Hain Kosar-o-Sansreet

Hai woh Rahmat ka Darya Hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda Aik Hai Waise Hi

En ka Unka Tumhara Hmara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Karn-o- Badli Rasoolon Ki Hoti Rahi

Chand Badli Ka Nikla Hamara Nabi

Kaun Deta Hai Dene Ko Mon Chahiye

Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Kya Khabar Kitne Taar-e-Khile Chup Gaye

Par Na Doob-e-Na Dooba Hamara Nabi

Mulk-e-Konain Main Ambiya Tajdaar

Tajdaaron Ka Aaqa Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

La Maqan Tak Ujala Hai Jiss ka Woh hai

Har Maqan Ka Ujala Hamara Nabi

Saar-e-Achon Main Acha Samjhiye Jisse

Hai Uss Achche Se Achcha Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Jiss ne Tukre Kiye Hain Qamar Ke Woh Hai

Noor-e-Wahdat Ka Tukra Hamara Nabi

Sab Chamak Wale Ujlon main Chamka Kiye

Andhe Sheeshon Main Chamka Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Jiss ne Murda Dilon Ko Di Umar-e-Abad

Hai woh Jaan-e-Masiha Hamara Nabi

Gamzadon ko Raza Mujda Dijiye Ke Hai

Bekason Ka Sahara Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik


Related Content

  1. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  2. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  3. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  4. Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho
  5. Habib-e-Khuda Ka Nazaara Karoon Mein   Naat Lyrics
  6. Jahaan Rauza E Pak E Khairul Wara Hai
  7. Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
  8. Subhe Baharaan  Naat Lyrics
  9. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  10. Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
  11. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  12. TERE HOTE JANAM LIYA HOTA
  13. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  14. Ek Baar Madine Me Ho Jaye Mere Jaana  Naat Lyrics
  15. Ye Zakm He Tayba Ka Ye Sub Ko Nahein Milta
  16. Nabi Ki Naat Ki Mahefil Sajana Hum Na Chhorenge  Naat Lyrics
  17. Ban Ke Noor E Khuda Mustafa Agaye
  18. Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya
  19. Mujhe Rang De Maula
  20. Mujhe Tohfay Mein Mila Ramzan Lyrics

Leave a comment