Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar Dein  Naat Lyrics

Jahaan baani ataa kardein bhari jannat hibah kar dein
Nabi mukhtaar-e-kul hein jis ko jo chaahe ataa kar dein

Jahaan mein unki chalti hai woh dum mai kya se kya kar dein
Zameen ko aasmaan kar dein suraiyyaa ko saraa kar dein

Fiza mein urne waale yoon na itraa`e nida kar dein
Woh jab chaahe jis-se chaahe us-se farmaa rawaa kar dein

Meri mushkil ko yoon aasaan mere mushkil kushaa kar dein
Har ik mauje balaa ko mere maula naa khuda kar dein

Ataa ho bekhudi mujh ko khudi meri hawa kar dein
Mujhe yoon apni ulfat mein mere maula fanaa kar dein

Jahaan mein aam paighaam-e-shahe ahmad raza kar dein
Palat kar peechhe dekhen phir se tajdeed-e-wafaa kar dein

Nabi se jo ho beygaana usse dil se juda kar dein
Pidar maadar biraadar maal-o-jaan un par fidaa kar dein

Munawwar meri aankhon ko mere shamsud duhaa kar dein
Ghamon ki dhoop mein wo saaya-e-zulfe dotaa kar dein

Kisi ko woh hansaate hein kisi ko woh rulaate hein
Woh yoon hi aazmaate hein woh ab to faislah kar dein

Gile taybah mai mal jaaoon gulon mai mil ke khil jaaoon
Hayaate jaawidaani se mujhe yoon aashnaa kar dein

Unhein manzoor hai jab tak yeh daure aazmaaish hai
Nah chaahein to abhi woh khatm daur-e-ibtilaa kar dein

Sa`ge aawaara-e-sehraa se uktaa si ga`ee duniya
Bachaao ab zamaane ka sagaan-e-mustafa kar dein

Mujhe kya fiqr ho akhtar mere yaawar hai woh yaawaar
Balaaon ko jo meri khud giraftaare balaa kar dein


Related Content

  1. Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
  2. Mashgala Aisa Batao Ke Zara  Naat Lyrics
  3. Zaban Pey Sirf Hai Dawa e Misal Koi Nahi
  4. Ho Karam Sarkar Ab Tou Ho Gaye Ghum Beshumaar  Naat Lyrics
  5. Kardo Allah Karam Ay Mere Shahe Umam
  6. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  7. Tala Al Badru Alyna
  8. karam phir rasule khuda kijiyega naat lyrics
  9. Sar Ta Ba-qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool  Naat Lyrics
  10. Do Jahaan Ke Waali Ka  Naat Lyrics
  11. Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics
  12. Man Kunto Maulaa  Naat Lyrics
  13. Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
  14. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  15. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  16. Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
  17. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  18. Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara
  19. Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics
  20. Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi Hai

Leave a comment